Saturday, November 1, 2008

Yaadon ka ik safar

yaad aati hain humein aapki har pal,
sangharsh karta hua chal raha hai ye jeevan.
aapki pyari so wo jhappi, aapka wo pyaara sa dulaar,
aapka wo hansta hua chehra, aapke office se aane ka wo intezaar.

yaad aati hain humein aapki har pal,
apne hi dil ki tadap se lad raha hai ye jeevan.
aapka mujhpe wo vishwas aur aapka mujhe pyaar karna har baar,
aapke saath movies dekhna aur jyada padhai karne par aapki wo maar.

yaad aati hain humein aapki har pal,
apne hi yaadon ke khauf se dar raha hai ye jeevan.
aapke saath mein baith ke ajeeb se un taaron ko dekhna,
aasmaan ke paar dikhne waale un nazaaron ko dekhna.

yaad aati hai humein aapki har pal,
man ke ufaanon ki maar se mar raha hai ye jeevan.
aapka wo sweets laana aur saath mein unhe chupke se khud bhi khana,
wo khoye waali kheer banana aur uski badai mein khud doob jaana.

yaad aati hai humein aapki har pal,
khud ke astitva ki safalta pe sawal kar raha hai ye jeevan.
mera wo aapke liye paani lana aur badle mein aapke haathon se koi tohfa paana,
aapke hanste hue chehre par mere liye un chintaaon ka aana.

yaad aati hain humein aapki har pal,
sach to ye hai, inhee meethi yaadon ke safar se tar raha hai ye jeevan.
aapke pyaar se jeevan ko jeetne ka tha sapna,
aur aapki aankhon mein us sapne ko sach karne ka wo sapna.

har pal yaad aati hai aapki, jeevan ki is dagar mein.
jeena padta hai humein ladkar, jeet kar aansuon ke is shahar mein.
pyaar jo aapse hain, wahi to jeevan hai mera.
pyaar jo aapka tha, usi wajah se to ab ye pal hai mera.