Saturday, May 3, 2008

Maut

log kahte hain jeene ke liye zaroori hai maut...
agar jeena hai to marna padega ,....
pal pal har pal jeewan se ladna padega..
woh ladai hi to maut hai...
inssaniyat ki maut, chahat ki maut,
maut ichchayon ki, apekshaon ki maut..

maut apne sapnon ki, adhoore khwabon ki maut...
Maut apne apnon ki, kachche dhaagon ki maut..
Maut apne dil ki, unchuye waadon ki maut..
Maut meri, mere har khayalon ki maut..

In mauton ne hi to jeena sikhaya,
aur maut ke dard ko peena sikhaya...

Jee raha hun main aaj kyunki sah chuka hun main maut..
Log kahte hain jeene ke liye zaroori hai maut.



Dated 24th April, 2007.

2 comments:

Aayush Shrivastava said...

Ohh... this was d poem I was talking about.

asu3011 said...

No its not the same, the other one had different concept and different words.