Monday, July 14, 2008

An urdu poem about her...though there is no real 'her'

Unke jalwe humein ba-andaaz-e-digar dikhai diye,
unki adaaon se daad-e-hunar sunai diye...
unki baaton mein kuch aise sharaar dikhai diye
ki zarre zarre se moushiqui ke ghazal sunai diye...

unke chehre se us sayyaad ki jhalak aayi,
jiske shikaar hone ki sazaa har insaan ne paayi...
unke andaazon mein bhi aise deewanepan ki jhalak aayi,
ki paagalpan ne bhi khud ki meaar-e-nazar kamzor paayi...

thoda gussail rawayya unka, thodi naazuk hai adaaiein
sard mausam mein jaise surkh siraaz sharmaye...
thodi ziyaa bhi hai unmein, aisi ki unke raqeeb bhi darr jaayein
kya karein zaalim...ab to unke suroor ne bhi di hai sazaaein!!


(Meanings of a few urdu words above:
ba-andaaz-e-digar: in a different style
daad-e-hunar: praising one's abilities
moushiqui: music
sharaar: spark
sayyaad: hunter
meaar-e-nazar: scale of comparison
siraaz: can be used for 'sun'
ziyaa: brilliance)

Rest of the word meanings I hope should be clear.

No comments: